'HAIRAAN'


'HAIRAAN' 

 

Gumnaam toh kehne ko hum bhi hain

Khoonkhaar basa bhitar mastisk ke

Luft lete hain bas sharirik roop ke

Aaj hairaan main bhi hoon


Bayaan karne jaaun toh lambi samagri hain

Lipti ye peedhi naa akhbaaron se

Ye toh simti apne dharmik vastron se

Aaj hairaan main bhi hoon


Kehne ko bas naam alag hai humare

Naqaab mein cheepein chehre toh samaan hain

Kisine kaha hum sab huba-hu hain

Aaj hairaan main bhi hoon


Ik rang mei rangne ki na kar koshish

Garaj raha aasman, toh cheetein tum par bhi aayengi

Nilaam hota dekh tumhe, maa naa seh payengi 

Aaj hairaan main bhi hoon


Ae-Dharti janam kin rogiyon ko diya hain

Jahan paani ki kami lahoon se chukegi

Socho, kya ikkis-vi sadi aisi dikhegi

Aaj hairaan main bhi hoon


Gali-Kunche ki sadke bhari hai in bimaaron se

Jiska illaaj naa hi hoga kisike kamaan se

Inko sahi raah dikha de ae-'Haman'

Aaj hairaan main bhi hoon


- by Rakesh Leel 'Haman'


Comments

Post a Comment

Popular Posts