2020 Rhapsody (Vol. 2)
written by Rakesh Leel
"Mitti se hain janam liye, mitti mein hi jaa miley,
Jaha hain imaratae khadi, wahi hotey phul khiley."
JUL-OOS nikala desh desh ne
Tel ko lekar mat-bhed kar rahe bhediye,
'Rial' se 'Toman' kar, andhere mein mujhe dhakel diye.
Naksha - Naksha kar rahe bin kisi kaksha,
Kaash paaye hotey Dhanpat Rai Srivastava se shiksha.
AUG-MENTED Realty
Sab kar rahe humari hain bhoomi,
Insaan hain anek jeevan ka khooni.
Kahin church ke masjid hue, toh kahin masjid ke mandir hue,
Naa jaane dharam ke naam par kitne khoon hue.
SEP-TIC siyaasat
Issi zameen ki mitti se hu ugata main anaaj,
Na de raha tinka bhi ijjat ye samaj.
Issi zameen ki sarhad ke liye hu khoon main bahata,
Phir bhi apne aap ko desh-vaasiyon se ajnabee hoon paata.
OCT-AVE frequency
Paani Paani kar zameen par, naa usse hai bhitar jaana,
Usse toh bas insaan ki badhti aabadi ko hain mitaana.
Paani paani kar zameen par, laakhon ko hain bhagaana,
Ussi mitti ne aaj paani ko seenchne se mana kar jaana.
NOV-ELTY , no more a novelty
Gumnaam hain sabhi ik dusre se,
Naqaab aur 2 gaj ki duri ka palan kare, ya na kaam le ab hosh se.
Chunav ka prachar hain zoro-shor se,
Kaash mere bachaav ka aelaan kiya hota isi josh se.
DEC-ADE of the action (UN 2030)
Phir naye lakshya par chal pada hain insaan,
Naye goals set kar nikal pada hain insaan.
Paise ki aadh mein phir nuksaan kar dega insaan,
Kahin na kahin hume bhi jeene do, O insaan!
"Mitti se hain janam liye, mitti mein hi jaa miley,
Jaha hain imaratae khadi, wahi hotey phul khiley."
'Save Me'
Happy World Soil Day !
© Rakesh Leel 2020
Sep-Tic siyasaat❤️
ReplyDelete❤️❤️❤️😍
ReplyDeleteBada bhai tussi great ho ❤️🌻
ReplyDelete