Aaj, ghar ke bhitar baitha, matlabi insaan jo hain

by Rakesh Leel

Sadkon par kyun chahal pehel kam hain,
khud kachra karnewala, aaj kyun namm hain.
Saari galtiyaan aur achaayian, gin raha wo hain,
Aaj, ghar ke bhitar baitha, matlabi insaan jo hain.

Daaliyaan jhum rahi hawaaon mein,
hawa tehel rahi mehkte fuloon ke baaghon mein.
Bin pollution ke baadal, garaj raha wo hain,
Aaj, ghar ke bhitar baitha, matlabi insaan jo hain.

Ab ek mahina ho chala hain, rishta kadva ya gehra ho chala hain,
jis tarah ye internet aur screen ko tum chaat-tein ho,
kya uss tarah parivar ke saath, 'purani baatein' ya 'hansi' baant-tein ho?
Blue tick pe ho baatein karte, kya blue tick pe hi sunte ho?
Sannaton ki talaash thi insaan ko, sannaton ne hi jakda hain,
Aaj, ghar ke bhitar baitha, matlabi insaan jo hain.

Aangan mein baithe, ye khayaal mera mann tha bunn raha,
tab mere darwaaze par, ek anjaan aadmi muskura raha.
Mera sawalon se bhara chehra dekh kar wo bole,
'Pados mei hi rehta hoon, thodi cheeni milegi'.
Cheeni bhar bartan main lauta raha tha,
Ik muskarahat se wo bole, 'cheeni toh bahana tha,
aapka wi-fi ka password jo jaanna tha'.

Cheeni ki mithaas rishton mein ghol gaya,
main phir apne aangan aakar khayalon mein baith gaya.
Sannaton ki talaash thi insaan ko, sannaton ne hi jakda hain,
Aaj, ghar ke bhitar baitha, matlabi insaan jo hain.

© 2020 Rakesh Leel

Comments

Post a Comment

Popular Posts